Monday, January 1, 2007

Koshish karne wallon ki kabhi haar nahi hoti.........

Koshish karne wallon ki kabhi haar nahi hoti
Manzillon ke taraf badhna hai
Kahien se toh shuruwat karna hai
Kyonki dil se ki gayi koshish
Kabhi nakaam nahi hoti

Kyon ye udasi
Kyon ye mayusi
Bahut se hain manzilein bahut se hain raste
Sailab se darkar nauka paar nahi hoti
Koshish karne wallon ki kabhi haar nahi hoti

Last verse-my favorite, an appeal to all…..

Har desh me dil dhadakte hain
Dilon me seemaien nahi hoti
Fir kyon ye jat-pat aur bhed –bhav banaye hain humne
Jab khuda ne ek he mitti se banaya hai hume
Toh chalo doston en doorioon ko mitane ke koshish me jut jaayen
Koshish karne wallon ki kabhi haar nahi hoti
Dil se ki gayi koshish Kabhi nakaam nahi hoti…….

1 comment:

Unknown said...

very nice....

looks like i need to read it..

though the last stanza(your fav) seems to go slightly offtrack...from the theme of the first two...or maybe i was wrong in assuming te theme of the first two...

karthik